Bashir Badr poems
Bashir Badr(15 February 1935 - / Ayodhya, India)
Ab kise chahen kise dhunda karen
- by Bashir Badr 33
Ab kise chahen kise dhunda karenWo bhi akhir mil gaya ab kya karen
Halki halki barishen hoti rahen
Ham bhi phoolon ki tarah bhiga karen
Aankh munde is gulabi dhoop mein
Der tak baithe use socha karen
Dil mohabbat deen duniya shairi
Har dareeche se tujhe dekha karen
Ghar naya kapde naye bartan naye
In purane kaghazon ka kya karen
Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekha
- by Bashir Badr 29
Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekhaKishti ke musafir ne samandar nahin dekha
Bewaqt agar jaunga sab chonk padenge
Ik umr hui din mein kabhi ghar nahin dekha
lis din se chala hun miri manzil pe nazar hai
Aankon ne kabhi meel ka patthar nahin dekha
Ye phool mujhe koi wirasat mein mile hein
Tumne mira kanton bhara bistar nahin dekha
Patthar mujhe kahta hai mira chahne wala
Main mom hun usne mujhe chhookar nahin dekha