Obaidullah Aleem poems
Obaidullah Aleem(1939 - 1997 / Bhopal / India)
Tere pyaar maon ruswa hokar jayen kaha diwane log
- by Obaidullah Aleem 11
tere pyar main ruswa hokar jaye kahan diwane logjane kya kya puch rahen hain ye jane pahchane log
jaise tumhen hamne chaha tha kaun bhala yun chahega
mana aur bahut ayenge tum se pyar jatane log
kaise dukhon k mausam aye kaisi ag lagi yaro
ab saharaon se late hain phulon k nazrane log
kal matam beqimat hoga aj inki tauqir karo
dekho khun-e-jigar se kya kya likhte hain afasane log
jante hain ye ishq musalsal rog hai ah-o-zari ka
phir bhi us k kuche main jate hain umr gawane log
Tum Aysee Mohabbat Na Karna
- by Obaidullah Aleem 1
tum aysee mohabbat mat karnamere khaboon mein chehra daikhoo
aur mere qayal hoo jaoo
tum aysee mohabat mat karna
mere lafzoon mein woh baat sunoo
jo baat lahoo ki chahat hoo
phir uss chahat mein khoo jaoo
tum aysee mohabbat mat karna
yeah lafaz mere yeah kahawb mere
har chand yeh jisam o jaan thehray
par aysay jisam o jaan tu nahieen
jo aur kissi kay pass na hoon
phir yeah bhi tu mumkin hai, socho
yeah lafaz mere yeah khawab mere
sab jhootay hoon
tum aysee mohabbat mat karna
gar karoo mohabbat tu aysee
jis tarhaan koi sachayee ki rad
har jhoot ko sach kar jaati hai