Meer Taqi Meer poems
Meer Taqi Meer(1723 - 1810 / Agra / India)
hastee apnee Hubaab kee see hai
- by Meer Taqi Meer 18
hastee apnee Hubaab kee see haiye numa'ish suraab kee see hai
naazukee uss ke lab kee kya kahiye
paNkhaRee ik gulaab kee see hai
baar-baar us ke dar pe jaata hooN
Haalat ab iztiraab kee see hai
maiN jo bola kaha ke ye aawaaz
usee KHaanah-KHaraab kee see hai
Meer" un neem-baaz aaNkhoN meN
saaree mastee sharaab kee see hai
be-KHudee le ga'ee kahaaN ham ko
- by Meer Taqi Meer 16
be-KHudee le ga'ee kahaaN ham koder se intaZaar hai apnaa
rote phirte hain saaree-saaree raat
ab yahee rozgaar hai apnaa
de ke dil ham jo ho ga'e majboor
ismeN kyaa iKHtiyaar hai apnaa
kuchh naheeN ham misaal-e-'unqaa lek
shahar-shahar ishtahaar hai apnaa
jisko tum aasmaan kahate ho
so diloN kaa Gubaar hai apnaa